Matargashti Lyrics – Tamasha

Matargashti Lyrics – Tamasha. The music of “Tamasha,” composed by A.R. Rahman, is a mesmerizing blend of soulful melodies and vibrant beats that perfectly complement the film’s emotional depth and narrative.

LYRICS

Matargashti khuli sadak mein
Tagdi tadak bhadak mein
Oley gire sulagte se sulagte se sadak mein
Chhatri na thi bagal mein
Aaya hi naa akal mein
Ke bhaage hum ya bheege hum akad mein
Toh socha phir
Geela hua hai wo sukhana ho ho.. brroom!
Chaahe zanana ya mardana ho ho..
Attention!
Phenka nayaa paasa
Phir de gayi jhansa
Ai’vein mujhe phansa
Teri aisi ki ho taisi zindagi
Phenka nayaa paasa
Phir de gayi jhansa
Aivein mujhe phansa
Chirkut zindagi, you kno. – (Na na na…)

Ting tinng ting taun..

Tu hi hai wo
Jis se khela tha main kho-kho khela thappo
Tu hai Laila, Shirin, Sohni, Juliet
Sun lo, mujhko dhoondo na jungle mele mein
Whatsapp pe hoon ha ha
Na tera na mera zamaana ho ho..
Na ye zanaana, na mardana ho..
Pakad paana
Phenka nayaa paasa
Phir de gayi jhansa
Aivein mujhe phansa
Chirkut zindagi you aaw!

Tu hi hai wo
Jisne khenchi meri dhoti, dhoti khenchi
Ab tu dhoonde kahaan bande Na main Kaaba, Kaashi
Main twitter pe hoon DP meri dekho hu uh hu

Sun re sun beliya
Dil ne dhokha diya
Aankhein mili tumse naazanee
Mere hosh-o-hawaas kho gaye
Ho… Dil ne ro roka
Yeh aankhein hain dil ki zubaan
Khwaab roz roz dekhe naye
Ho… dil ka bhanwar bole sun sathiya
Chhup na dupatte mein tu oh chhaliya
Prem pujaari ke, dil ka bayaan
Hota raha, rota raha priye
Toh phir… tang tang tang…

Matargashti khuli sadak mein
Tagdi tadak bhadak mein
Oley gire sulagte se sulagte se sadak mein
Chhatri na thi bagal mein
Aaya hi naa akal mein
Ke bhaage hum ya bheege hum akad mein
Toh socha phir
Geela hua hai jo sukhana ho ho.. brroom!
Chaahe zanaana ya mardana ho ho..
Attention!
Phenka naya paasa
Phir de gayi jhansa
Aivein mujhe phansa
Teri aisi ki ho taisi zindagi

Phenka naya paasa
Phir de gayi jhansa
Aivein mujhe phansa
Chirkut zindagi, you know…

Share with:


About the Author

Giri Prabhu
Column Writer